Dusro Ka Dukhda Door Karnewale Lyrics – Ramchandra Baryanji

Presenting Dusro Ka Dukhda Door Karnewale Song Lyrics from the Bollywood fil Dusshera, Sung by the Ramchandra Baryanji Dwivedi Penned By Datta Naik. Music composed of Ramchandra Baryanji Dwivedi, with the music label of Saregama.


Dusro Ka Dukhda Door Karnewale Lyrics – Ramchandra Baryanji (1)Song Details:
Song: Dusro Ka Dukhda Door Karnewale
Movie: Dusshera
Singer: Ramchandra Baryanji Dwivedi
Music: Datta Naik


Dusro Ka Dukhda Door Karnewale Lyrics

Dusro ka dukhda dur karnewale
Tere dukh dur karenge ram
Dusro ka dukhda dur karnewale
Tere dukh dur karenge ram

Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram

Sat ka hai path ye dharam ka marg
Sambhal sambhal kar chalna prani
Pag pag par yaha re kasauti
Kadam kadam par kurbani
Magar tu dawa dol na hona
Teri sab peed harenge ram
Dusro ka dukhda dur karne wale
Tera dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram

Kya tune paya kya tune khoya
Kya tera labh hai kya hani
Iksa hisab karega wo ishwar
Tu kyu fikar kare re prani
Tu bas apna kam kiye ja
Tera bhandar bharenge ram
Dusro ka dukhda dur karne wale
Tera dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram
Poch le tu apne aasu tamam
Tere dukh dur karenge ram
Tere dukh dur karenge ram
Kiye ja tu jag me bhalai ka kam
Tere dukh dur karenge ram.

Mussic Video Of: Dusro Ka Dukhda Door Karnewale