Koi Humdum Na Raha Lyrics – Kishore Kumar

Presenting Koi Humdum Na Raha Song Lyrics from the Bollywood film Jhumroo,
Sung by the Kishore Kumar Penned By Majrooh Sultanpuri. The film starring Kishore Kumar, Madhubala, Chanchal, with the music label of Saregama.


Koi Humdum Na Raha Lyrics – Kishore Kumar (1)Song Details:
Song: Koi Humdum Na Raha
Movie: Jhumroo
Singer: Kishore Kumar


Koi Humdum Na Raha Lyrics

Hey hey hey hey hey hey hey hey
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Hum kisi ke na rahe koi hamara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise
Shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise

Jo mujhe raah deekhaye wohi taara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Aye nazaaron na hasso mil na sakunga tumse
Aye nazaaron na hasso mil na sakunga tumse

Woh mere ho na sake main bhi tumhara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Kya bataaon main kahan yunhi chala jaata hoon
Kya bataaon main kahan yunhi chala jaata hoon

Jo mujhe phir se bulah le woh ishaara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha
Hum kisi ke na rahe koi hamara na raha.

Music Video Of: Koi Humdum Na Raha